Friday 24 January 2014

Ae Teri Chashme-E-Jahan Been Par Woh Toofan Ashkar

Ae Teri Chashme-E-Jahan Been Par Woh Toofan Ashkar
Jin Ke Hangame Abhi Darya Mein Sote Hain Khamosh


‘Kashti-E-Miskeen’-O-‘Jaan-E-Paak’-O-‘Diwar-E-Yateem’
Ilm-E-Musa (A.S.) Bhi Hai Tere Samne Hairat Farosh


Chorh Kar Abadiyan Rehta Hai Tu Sehra Naward
Zindagi Teri Hai Be Roz-O-Shab-O-Farda-O-Dosh


Zindagi Ka Raaz Kya Hai, Saltanat Kya Cheez Hai
Aur Ye Sarmaya-O-Mehnat Mein Hai Kaisa Kharosh


Ho Rahah Hai Asia Ka Kharqa-E-Dairina Chaak
Naujawan Aqwam-E-Nau Doulat Ke Hain Peraya Posh


Garcha Iskandar Raha Mehroom-E-Aab-E-Zindagi
Fitrat-E-Iskandari Ab Tak Hai Garam-E-Nao’ay Nosh


Baichta Hai Hashmi Namoos-E-Deen-E-Mustafa (S.A.W.)
Khak-O-Khoon Mein Mil Raha Hai Turkaman-E-Sakht Kosh


Aag Hai, Aulad-E-Ibraheem (A.S.) Hai, Namrood Hai
Kya Kisi Ko Phir Kisi Ka Imtihaan Maqsood Hai !

No comments:

Post a Comment