Aye mere chaand ki aagosh se ubhre hue chaand..
Tere aane se meri shokh ki sab muskaane'n..
Us k murjhaye hue chehre pe loat ai hain..
Tune he us k sulagtay hue sab zakhmon pr..
Apna nazuk sa mehekta hua marham rakha..
Goya sehrao'n main barsaat ka mosam rakha..
Waqt ki aandhi ne ik phool mere aangan ka..
Gulshan-E-gair k zindaan main laa phen'ka tha..
Main k jugnoo tha cheenay mujhse hawalay mere..
Kho gaye jaanay kahan sare ujalay mere..
Wo k titli thi sabi rango'n se mehroom hui..
Hijr k drd main din raat wo magmoom hui..
Bikhri bikhri si wo rehti thi meri socho'n main..
Tere aaney se meri shokh ne khushiyan payi'n..
Tu jo hansta hai tujhe dekh k jee uth'ti hai..
Tu jo rota hai tu ghabra k bikhar jati hai..
Mujhse waabasta jo karti thi muqaddar apna..
Ab samjhti hai faqt tujhko sikandar apna..
Ab teri zaat se mansoob hain saa'nse'n uski..
Aur khulti hain tere qurb main baahai'n uski..
Aye mere chaand ki aagosh main khilte hue chaand...
Tune mujh pr ajab ehsaan kia hai piyaray..
Ab tere qurb main wo mujhko bhula tu degi..
Hijr k jalte hue deep bhuja tu degi..
No comments:
Post a Comment