Fatima! Tu Abroo-E-Ummat-E-Marhoom Hai
Zarra Zarra Teri Musht-E-Khak Ka Masoom Hai
Ye Sa’adat, Hoor-E-Sehrayi! Teri Qismat Mein Thi
Ghaziyan-E-Deen Ki Saqqayi Teri Qismat Mein Thi
Ye Jihad Allah Ke Raste Mein Be-Taegh-O-Sipar
Hai Jasarat Afreen Shauq-E-Shahadat Kis Qaddar
Ye Kali Bhi Iss Gulistan-E-Khazan Manzar Mein Thi
Aesi Chingari Bhi Ya Rab, Apni Khakstar Mein Thi
Apne Sehra Mein Bohat Aahu Abhi Poshida Hain
Bijliyan Barse Huway Badal Mein Bhi Khawabida Hain!
Fatima! Go Shabnam Afshan Ankh Tere Gham Mein Hai
Naghma-E-Ishrat Bhi Apne Nala-E-Matam Mein Hai
Raqs Teri Khak Ka Kitna Nishat Angaiz Hai
Zarra Zarra Zindagi Ke Souz Se Labraiz Hai
Hai Koi Hangama Teri Turbat-E-Khamosh Mein
Pal Rahi Hai Aik Qoum-E-Taza Iss Aghosh Mein
Bekhabar Hun Gharche Un Ki Wusaat Se Mein
Afreenash Dekhta Hun Un Ki Iss Marqad Se Mein
Taza Anjum Ka Faza’ay Asman Mein Hai Zahoor
Didah’ay Insan Se Na-Mehram Hai Jin Ki Mouj-E-Noor
Jo Abhi Ubhre Hain Zulmat Khana’ay Ayyam Se
Jin Ki Zou Na Ashna Hai Qaid-E-Subah-O-Sham Se
Jin Ki Tabani Mein Andaz-E-Kuhan Bhi, Nau Bhi Hai
Aur Tere Koukab-E-Taqdeer Ka Parto Bhi Hai
No comments:
Post a Comment