Monday 20 January 2014

Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana

Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chali jana,

Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay may
Usay puri tarha se tum bhulado phir chali jana,

Ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai
Tum aakay ek baar inko sulado phir chali jana,

Kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka
Jo hai ehsaas tum usko bhulado phir chali jana,

Bus ik murda hansi se apnay ashko ko chupanay ka
Jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chali jana,

Wo jo ik lafz-e-ulfat hai, juda hai apnay maani se
Bus in alfaz-o-mani ko milado phir chali jana,

Jo kehte kahte ruk gaye, un sari bato ki
Sama‘at ko talab hai wo suna do phir chali jana,

Na janay q hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri ye be-waja aadat chura do phir chali jana,

Merey in roz-o-shab ka ek fakat unwan bus tum ho
Mujhe tum doosra unwan lado phir chali jana,

Pyar ki koshish, ay Khuda, na jaye raigan
Mujhe is sabr ka kuch phal dila do phir chali jana…

No comments:

Post a Comment