Tuesday, 7 January 2014

Tu Abhi Rahguzar Mein Hai Qaid-E-Makam Se Guzar


Tu Abhi Rahguzar Mein Hai Qaid-E-Makam Se Guzar
Misr-O-Hijaz Se Guzar, Paires-O-Sham Se Guzar

Jis Ka Amal Hai Be-Garaz, Us Ki Jaza Kuch Aur Hai
Hur-O-Khayam Se Guzar, Bada-O-Jam Se Guzar

Garche Hai Dilkusha Bahot Husn-E-Firang Ki Bahar
Tayarek Buland Bal Dana-O-Dam Se Guzar

Koh Shigaf Teri Zarab Tujhse Kushad Sharq-O-Garab
Teze-Hilahal Ki Tarah Aish-O-Nayam Se Guzar

Tera Imam Be-Huzur, Teri Namaz Be-Surur
Aisi Namaz Se Guzar, Aise Imam Smumkin

Hai Ke Tu Jisako 
Samajhata Hai Baharan E Guzar

No comments:

Post a Comment