Thursday, 27 February 2014

Baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage

Baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage,
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage,

Ik khail hai aurang-e-sulemaan mere nazdeek,
ik baat hai ' Ijaz-e-maseeha mere aage,

Juz naam nahi soorat-e-aalam mujhe manzoor,
Juz weham nahi hasti-e-ashiya mere aage,

hota hai nihaan gard mein sehra mere hote,
ghista hai jabeen Khaak pe dariya mere aage,

Mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
Tu dekh ke kya rang tera mere aage,

Sach kehte ho, Khud-been-o-Khud_aaraa na kiyun hoon ?
Baitha hai but-e-aaeenaa_seemaa mere aage,

Phir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-Guftaar,
Rakh de koi Paimaana-o-sahba mere aage,

Nafrat ka Gumaan Guzare hai, main rashk se guzaraa
Kiyon-kar kahoon, lo naam na uska mere aage,

Imaan mujhe roke hai jo kheenche hai mujhe kufar,
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage,

Aashiq hoon, pe maashooq_faraibi hai mera kaam,
Majnoon ko bura kehti hai Laila mere aage,

Khush hote hain par wasl mein yoon mar nahi jaate,
Aayi shab-e-hijraan ki tamanna mere aage,

Hai mauj_zan ik qulzum-e-KhooN, kaash, yahi ho,
Aata hai abhi dekhiye kya-kya mere aage,

Go haath ko jumbish nahi Aanhon mein to dam hai,
Rehne do abhi Saaghar-o-meena mere aage,

ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'Ghalib' ko bura Kiyun kaho acha mere aage !

No comments:

Post a Comment