Thursday, 27 February 2014

Balaa Se Hain Jo Ye Pais_E_Nazar Dar_O_Diwaar

Balaa Se Hain Jo Ye Pais_E_Nazar Dar_O_Diwaar
Nigah_E_Shoq Ko Hain Baal_O_Per Dar_O_Diwaar

Wufoor_E_Ashk Nay Kaashaana Kaa Kya Ye Rang
K Ho Ga'ey Mere Deewaar_O_Dar, Dar_O_Diwaar

Nahi Hai Saaya K Sun Kr Naveed_E_Maqdam_E_Yaar
Ga'ey Hian Chand Qadam Paister Dar_O_Diwaar

Hoi Kis Qadar Arzaani_E_May_E_Jalwa
K Mast Hai Tere Koocha Mein Her Dar_O_Diwaar

Jo Hai Tujhay Sir_E_Sodaa_E_Intizaar To Aa
K Hain Dukaan_E_Mataa_E_Nazar Dar_O_Diwaar

Wo Aa Raha Hai Mere Humsaaye Mein To Saaya Se
Huway Fidaa Dar_O_Deewaar Per Dar_O_Diwaar

Nazar Men Khatkay Hai Bin Tere Ghar Ki Aabaadi
Hamesha Rotay Hain Hum Dekh Kr Dar_O_Diwaar

Hujoom_E_Giriya Ka Saamaan Kb Kiya Menay
K Gir Paray Na Mere Paaon Per Dar_O_Diwaar

Na Puch Be_Khudi_E_Aish Maqdam_E_Sailaab
K Naachtay Hain Paray Sir_Basir Dar_O_Diwaar

Na Keh Kisi Se K Ghalib Nahi Zamaana Men
Hareef_E_Raaz_E_Mohabbat Mager Dar_O_Diwaar...

No comments:

Post a Comment