Thursday, 27 February 2014

Phir Kuch Is Dil Ko Beqarari Hai,

Phir Kuch Is Dil Ko Beqarari Hai,
Seena Zoya-E-Zakhm-E-Kaari Hai,

Phir Jigar Khodne Laga Naakhun,
Aamad-E-Fasl-E-Lalkaari Hai,

Qibla-E-Maqsad-E-Nigaah-E-Niyaaz,
Phir Vahi Pardaa-E-Ammari Hai,

Chashm-E-Dallal-E-Jins-E-Rusvaai,
Dil Kharidaar-E-Zauq-E-Khvaari Hai,

Vahi Sadrang Naala Farsaai,
Vahi Sadguna Ashqbaari Hai,

Dil Hawa-E-Khiraam-E-Naaz Se Phir,
Mahashristaa-E-Beqaraari Hai,

Jalwaa Phir Arz-E-Naaz Karta Hai,
Roz-E-Bazaar-E-Jaan Supaari Hai,

Phir Usi Bewafa Pe Marte Hain,
Phir Vahi Zindegi Hamaari Hai,

Phir Khula Hai Dar-E-Adalat-E-Naaz,
Garm Bazaar-E-Faujdaari Hai,

Ho Raha Hai Jahaan Main Andher,
Zulf Ki Phir Sarishtadaari Hai,

Phir Diya Paara-E-Jigar Ne Sawaal,
Ek Fariyaad-O-Aah-O-Zaari Hai,

Phir Hue Hain Gawaah-E-Ishq Talab,
Ashqbaari Ka Hukmzaari Hai,

Dil-O-Mizshgaan Ka Jo Muqadma Tha,
Aaj Phir Us Ki Rubqaari Hai,

Bekhudi Besabab Nahin 'Ghalib'
Kuch To Hai Jis Ki Pardadaari Hai ...

No comments:

Post a Comment