Thursday, 27 February 2014

Sukoon bhi khuwaab hua, Neend bhi hai kam kam phir

Sukoon bhi khuwaab hua, Neend bhi hai kam kam phir
Qareeb aaney laga dooriyon ka mausam phir

Bana rahi hai teri yaad Mujh ko silk-e- kauhar
Piro gaee meri palkon pay aaj shabnam phir

Woh narm lehjey mein keh raha hai phir mujh sey
Chhirra hai pyar k komal suron mein madham phir

Tujhe manaaoon k apni Anaa ki baat sunoon
Ulajh raha hai mere faisalon ka resham phir

na uski baat main samjhoon, na woh meri Nazrein
Muaamlaat-e-zubaan ho chalay hain mubham phir

Ye aaney wala naya dukh bhi us k sar hi gaya
chatakh gaya meri angashteri ka neelam phir

Woh aik lamha k jab saarey rang aik huey
Kisi bahaar ney dekha na aisa sangam phir

Bohat, aziz hain meri Aankhein usey, lekin
Wo jaatey jaatey inhein kar gaya hai purnam phir ...

No comments:

Post a Comment