Monday, 31 March 2014

zindagee k rustay per

zindagee k rustay per 
kitnay loog chalatay hain 

kitnay loog miltay hain 
kuch beechar bhee jatay hain 

milnay aur beecharnay k silsela purana hai 
jub say yah zamana hai 

loog aatay rahtay hain 
loog jatay rahtay hain 

waqt chalta rahta hai..... 
ajnabi say chaharay bhee 

thoree c rafakat say 
thoray say taaluk say 

apnay apnay lagtay hian 
dil main bus say jatay hain 

phir samay ka yah dhara 
is tarah say bahta hai 

sub badal sa jata hai 
dil udas rahta hai 

bhoole bisree yadoon ko sochtay hain hum saray 
apnay apnay pyaroon ko dhoondhtay hain hum saray 

bheer main zamanay keee chahray taktay jatay hain 
waqt ke musafat main sub hee thaktay jatay hain 

waqt k mukabil tu sub nay sar jhukaya hia 
waqt koo kahan phir bhee koe rook paya hai....

No comments:

Post a Comment