Jab hijr ke shehr
mein dhoop utrri,main jaag parra to khawab hoa
Meri soch khizaan ki
shaakh bani, tera chehra aur gulaab hoa
Barfeeli rut ki teez
hawa kiun jheel mein kanker phhaink gayi
Ek aankh ki neend
haraam hoi, ek chaand ka aks kharab hoa
Bharay shehr mein ek
hi chehra tha,jisay aj b galiyan dhondti hain
Kisi subah us ki
dhoop hoi kisi shaam wohi mahtaab hoa....!!!
Tere hijr mein zehn
pighalta hai,tere qurb mein aankhein jalti hain
Tera khona aik
qayamat tha, tera milna aur azaab hoa....!!!
Barri umr k baad in
aankhoon mein,ek abr utrra teri yaadoon ka
Mere dil ki zameen
abaad hoi, mere mann ka nagar shadaab hoa
Kabhi wasl mein
MOHSIN dil toota, kabhi hijr ki rut ne laaj rakhi
Kisi jism mein
aankhein kho baithay, koi chehra khuli kitaab hoa
No comments:
Post a Comment