Saturday, 7 June 2014

Jis se bandhe thay dono, wo gham nahi rahe hain,

Jis se bandhe thay dono, wo gham nahi rahe hain,
Tum tum nahi rahe ho, hum hum nahi rahe hain,

Chahat ke geet mein hai, koi kami yaqeenan,
Akhir tere mere sur jam nahi rahe hain,

Ro ro ke tere dukh, sehra sa ho gaya hoon,
Ab aankh ke kinaray bhi nam nahin rahe hain,

Lamhon ke pair par hain, kuch phool dard-e-gham ke,
Jeewan mein ab khushi ke mausam nahi rahe hain,

Tu aur simt mein hai, mein aur simt mein hoon,
Ulfat ke raastay ab baham nahi rahe hhain,

Fikr-e-muaash ne tu jazbon ko rond dala,
Aashiq wagarna hum bhi kuch kam nahi rahe hain,

Raahon mein ab kharha hoon, phelaae haath khali,
Gham thay mera asasa aur gham nahi rahe hain,

Tum hi the meri dunya, tum hi meri muhabbat,
Tum jo nahi tu dono aalam nahi rahe hain..

No comments:

Post a Comment