Jo us ke samne mera
yeh haal aa jaye,
To dukh se aur bhi us
par jamal aa jaye,
Mera khayal bhi
ghunghru pehen ke nachey ga,
Agar khayal ko tera
khayal aa jaye,
Har ek shaam naye
khawab is pe garrhain ge,
Hamare hath agar teri
shaal aa jaye,
Unhi dinon woh mere
sath chaye peeta tha,
Kahin se kaash mera
pichla saal aa jaye,
Main apne gham ke
khazaney kahan chupaon ga,
Agar kahin se koi aur
maal aa jaye,
Har aik baar naye
dhang se sajayen tujhe,
Hamare hath jo
phoolon ki dhaal aa jaye,
Yeh doobta hua suraj
theher na jaye Wasi,
Agar woh saamne
waqt-e-zawaal aa jaye..
No comments:
Post a Comment