Saturday, 7 June 2014

Kaisa maftoh sa manzar hai kai sadiyon se

Kaisa maftoh sa manzar hai kai sadiyon se
Mere qadmon pe mera sir hai kai sadiyon se

Khof rehta hai na seelab kahen le jae
Meri plkon pe tera ghar hai kai sadiyon se

Uss k pani me bhi pehle sa wo thehrao nahin
To bhi bechain sumandar hai kai sadiyon se

Ashak ankhon me solagate hoe s oo jate hain
Ye meri ankh jo banjhar hai kai sadiyon se

Kon kehta hai mulaqat meri ajj ki hai
Too meri rooh k andar hai kai sadiyon se

Yee mujhe sans bhi khol kar nahin laine daita
Meri shee raag pe jo khanjar hai kai sadiyon se

Ae meri maa main har ikk dhop se lar sakta hon
Mere sir par teri chadar hai kai sadiyon se

Main ne jis k lie har shakhs ko naraz kia
Roth jae na yahi dar hai kai sadiyon se

Usski adat hai jharhen katate rehne ki WASI
Jo meri zaat ka mehwar hai kai sadiyon se

No comments:

Post a Comment