Chamak Teri Ayaan
Bijli Mein Aatish Mein Sharaare Mein;
Jhalak Teri Haweeda
Chaand Mein Suraj Mein Taare Mein
Bulandi Aasmanon
Mein, Zameeon Mein Teri Pasti
Rawani Behr Mein,
Uftadgi Teri Kinare Mein
Shariat Kyun
Gireban-Geer Ho Zauq-e-Takallam Ki
Chupa Jata Hun Apne
Dil Ka Matlab Istaare Mein
Jo Hai Baidar Insan
Mein Woh Gehri Neend Sota Hai
Shajar Mein, Phool
Mein, Haiwan Mein, Pathar Mein, Sitare Mein
Mujhe Phoonka Hai
Souz-e-Qatra-e-Ashk-e-Mohabbat Ne
Ghazab Ki Aag Thi
Pani Ke Chote Se Sharare Mein
Nahin Jinse
Sawab-e-Akhirat Ki Aarzoo Mujh Ko
Woh Soudagar Hun,
Main Ne Naf'a Dekha Hai Khasare Mein
Sukoon Na-Ashna Rehna
Isse Saman-e-Hasti Hai
Tadap Kis Dil Ki Ya
Rab Chup Ke Aa Baithi Hai Paare Mein
Sada-e-Lantarani Sun
Ke Aey Iqbal Mein Chup Hun
Taqazon Ki Kahan
Taqat Hai Mujh Furqat Ke Mare Mein
No comments:
Post a Comment