jinhen main dhundhta
tha asmanon mein zaminon mein
wo nikle mere
zulmat-e-khana-e-dil k makinon mein
mahine wasl k
ghariyon ki surat urte jate hain
magar ghariyan judai
ki guzarti hai mahinon mein
mujhe rokega tu ai
nakhuda kya garq hone se
k jin ko dubna hai
dub jate hain safinon mein
jala sakti hai
sham-e-kushta ko mauj-e-nafas un ki
ilahi kya chupa hota
hai ahal-e-dil k sinon mein
tamanna dard-e-dil ki
ho to kar khidmat faqiron ki
nahin milta ye gauhar
badshahon k khazinon mein
muhabbat k liye dil
dhundh koi tutnewala
ye wo mai hai jise
rakhte hain nazuk abginon mein
bura samajhun unhen
mujh se to aisa ho nahin sakta
k main khud bhi to
hun "Iqbal" apne nuktachinon mein
No comments:
Post a Comment