Saturday 9 August 2014

Ab Wahi Harf-E-Junun

ab wahi harf-e-junun sab k zuban thahri hai
jo bhi chal nikli hai wo bat kahan thahri hai

aj tak shaikh k ikram main jo shay thi haram
ab wahi dushman-e-din rahat-e-jan thahri hai

hai khabar garm k phirta hai gurezan naseh
guftagu aj sar-e-ku-e-butan thahri hai

hai wahi ariz-e-laila wahi shirian ka dahan
nigah-e-shauq ghari bhar ko yahan thahri hai

wasl k shab thi to kis darja subak guzri hai
hijr k shab hai to kya sakht garan guzri hai

bikhri ek bar to hath ai kab mauj-e-shamim
dil se nikli hai to kab lab pe fugan thahri hai

dast-e-sayyad bhi ajiz hai kaf-e-gulchin bhi
bu-e-gul thahri na bul-bul k zaban thahri hai

ate ate yun hi dam bhar ko ruk hogi bahar
jate jate yun hi pal bhar ko khizan thahri hai

ham ne jo tarz-e-fugan k hai qafas main ijad
"Faiz" gulshan main wo tarz-e-bayan thahri hai

No comments:

Post a Comment