Tuesday 12 August 2014

Ati Hai Dam-E-Subah Sadda Arsh-E-Bareen Se

Ati Hai Dam-E-Subah Sadda Arsh-E-Bareen Se
Khoya Gya Kis Tarah Tera Johar-E-Idraak !


Kis Tarah Huwa Kund Tera Nashtar-E-Tehqeeq
Hote Nahin Kyun Tujh Se Sitaron Ke Jagar Chaak


Tu Zahir-O-Batin Ki Khilafat  Ka Sazawaar
Kya Shaola Bhi Hota Hai Ghulam-E-Khs-O-Khashaak


Mehar-O-Mah-O-Anjum Nahin Mehkoom Tere Kyun
Kyun Teri Nigahon Se Larazte Nahin Aflaak


Ab Tak Hai Rawan Gharcha Lahoo Teri Raagon Mein
Ne Garmi-E-Afkaar, Na Andaish-e-Bebaak


Roshan To Woh Hoti Hai, Jahan Been Nahin Hoti
Jis Ankh Ke Pardon Mein Nahin Hai Nigah-E-Pak


Baqi Na Rahi Teri Woh Aaeena Zameeri
Ae Kushta-e-Sultani-O-Mullai-O-Peeri !

No comments:

Post a Comment