Ek Raat Sitaron Se
Kaha Najam-e-Sehar Ne
Adam Ko Bhi Dekha Hai
Kisi Ne Kabhi Baidar?
Kehne Laga Mareekh,
Ada Feham Hai Taqdeer
Hai Nind Hi Iss
Chotte Se Fitne Ko Sazawar
Zahra Ne Kaha, Aur
Koi Baat Nahin Kya?
Iss
Karmak-e-Shab-e-Kaur Se Kya Hum Ko Sarokar!
Bola Meh-e-Kamil Ke
Woh Koukab Hai Zameeni
Tum Shab Ko Namoodar
Ho, Woh Din Ko Namoodar
Waqif Ho Agar
Lazzat-e-Baidari Shab Se
Unchi Hai Surayya Se
Bhi Ye Khak-e-Pur-Asrar
Aghosh Mein Iss Ki
Woh Tajali Hai Ke Jis Mein
Kho Jaen Ge Aflak Ke
Sub Sabit-o-Sayyar
Na-Gah Faza
Bang-e-Azan Se Huwi Lab-Raiz
Woh Naara Ke Hil Jata
Hai Jis Se Dil-e-Kuhsar!
No comments:
Post a Comment