Bohat Dekhe Hain Main
Ne Mashriq-o-Maghrib Ke May Khane
Yahan Saqi Nahin
Payda, Wahan Be-Zauq Hai Sehba
Na Iran Main Rahe
Baqi, Na Tooran Mein Rahe Baqi
Woh Banday Faqr Tha
Jin Ka Halaak-e-Qaisar-o-Kasra
Yehi Sheikh-e-Haram
Hai Jo Chura Kar Baich Khata Hai
Galeem-e-Bu Zar
(R.A.)-o-Dalaq-e-Awais (R.A)-o-Chadar-e-Zahra (R.A.)
Huzoor-e-Haq Mein
Israfeel Ne Meri Shikayat Ki
Ye Banda Waqt Se
Pehle Qayamat Kar Na De Barpa
Nida Ayi Ke
Ashob-e-Qayamat Se Ye Kya Kam Hai
‘Garaftah Cheeniyan
Ahram-o-Makki Khufta Dar Batha’
Labalab Shisha’ay
Tehzeeb-e-Hazir Hai Ma’ay ‘LA’ Se
Magar Saqi Ke Hathon
Mein Nahin Paymana’ay ‘ILLAH’
Daba Rakha Hai Uss Ko
Zakhmawer Ki Taiz Dasti Ne
Bohat Neeche Suron
Mein Hai Abhi Yourap Ka Wavela
Issi Darya Se Uthti
Hai Woh Mouj-e-Tund Joulan Bhi
Nehnangon Ke Nasheman
Jis Se Hote Hain Teh-o-Bala
No comments:
Post a Comment