Thursday 7 August 2014

Chand

Mere Weerane Se Kouson Door  Hai Tera Watan
Hai Magar Darya’ay Dil Teri Kashish Se Moujzan

Qasad Kis Mehfil Ka Hai Hai? Ata Hai Kis Mehfil Se Tu
Zard Ru Shayad Huwa Ranj-e-Reh-e-Manzil Se Tu

Afreenish Mein Sarapa Noor Tu, Zulmat Hun Main
Iss Seh Rozi Pe Lekin Tera Hum Qismat Hun Main

Ah, Main Jalta Hun Souz-e-Ishtiaq-e-Deed Se
Tu Sarapa Souz Dagh-e-Minnat-e-Khursheed Se

Aik Halqe Par Agar Qaeem Teri Rafter Hai
Meri Gardish Bhi Misal-e-Gardish-e-Parkaar Hai

Zindagi Ki Rah Mein Sargardan Hai Tu, Heeran Hun Main
Tu Farozan Mehfil-e-Hasti Mein Hai, Souzan Hun Main

Main Rah-e-Manzil Mein Hun, Tu Bhi Rah-e-Manzil Mein Hai
Teri Mehfil Mein Jo Khamoshi Hai, Mere Dil Mein Hai

Tu Talab Khu Hai To Mera Bhi Yehi Dastoor Hai
Chandani Hai Noor Tera, Ishq Mera Noor Hai

Anjuman Hai Aik Meri Bhi Jahan Rehta Hun Main
Bazm Mein Apni Agar Yakta Hai Tu, Tanha Hun Main

Mehr Ka Partou Tere Haq Mein Hai Pegham-e-Ajal
Mehv Kar Deta Hai Mujh Ko Jalwa-e-Husn-e-Azal

Phir Bhi Ae Mah-e-Mubeen! Main Aur Hun Tu Aur Hai
Dard Jis Pehlu Mein Uthta Ho, Woh Pehlu Aur Hai

Garcha Main Zulmat Sarapa Hun, Sarapa Noor Tu
Saikron Manzil Hai Zauq-e-Aghi Se Door Tu

Jo Meri Hasti Ka Maqsad Hai, Mujhe Maloom Hai
Ye Chamak Woh Hai,Jabeen Jis Se Teri Mehroom Hai

No comments:

Post a Comment