Thursday 7 August 2014

Dagh

Azmat-e-Ghalib Hai Ek Muddat Se Pewand-e-Zameen
Mehdi-e-Majrooh Hai Sheher-e-Khamoshan Ka Makeen

Tor Dali Mout Ne Ghurbat Mein Meenaye Ameer
Chashme-e-Mehfil Mein Hai Ab Tak Kaif-e-Sehbaye Ameer

Aaj Lekin Hum-Nawa! Sara Chaman Matam Mein Hai
Shama-e-Roshan Bujh Gyi, Bazm-e-Sukhan Matam Mein Hai

Aaj Lekin Hum-Nawa! Sara Chaman Matam Mein Hai
Shama-e-Roshan Bujh Gyi, Bazm-e-Sukhan Matam Mein Hai

Chal Basa Dagh! Aah! Mayyat Iss Ki Zaib-e-Dosh Hai
Akhri Shayar Jahan Abad Ka Khamosh Hai

Ab Kahan Woh Bankpan, Woh Soukhi-e-Tarz-e-Byaban
Aag Thi Kafoor-e-Peeri Mein Jawani Ki Nihan

Thi Zuban-e-Dagh Par Jo Aarzu Har Dil Mein Hai
Laila-e-Maani Wahan Be Parda, Yaan Mehmil Mein Hai

Ab Saba Se Kon Puche Ga Sukoot-e-Gul Ka Raaz
Kon Samjhe Ga Chaman Mein Nala-e-Bulbul Ka Raaz

Thi Haqiqat Se Na Ghaflat Fikar Ki Parwaz Mein
Aankh Taeer Ki Nasheman Par Rahi Parwaz Mein

Aur Dikhlayen Ge Mazmoon Ki Humain Bareekian
Apne Fikr-e-Nukta Aara Ki Falak Pemaeeyan

Talakhi-e-Doran Ke Naqhe Khainch Kar Rulwayen Ge
Ya Takhiyul Ki Nayi Dunya Humain Dikhlayen Ge

Iss Chaman Mein Hon Ge Paida Bulbul-e-Sheeraz Bhi
Saikron Sahir Bhi Hon Ge, Sahib-e-Ijaz Bhi

Uthain Ge Azar Hazaron Shair Ke Butkhane Se
Mai Pilayen Gen Aye Saqi Naye Pemane Se

Likhi Jaen Gi Kitab-e-Dil Ki Tafseerain Bohat
Hon Gi Ae Khawab-e-Jawani! Teri Taabeerain Bohat

Hu Bahu Khainche Ga Lekin Ishq Ki Tasveer Kon?
Uth Gya Nawak Fagan, Mare Ga Dil Par Teer Kon?

Ashak Ke Dane Zameen-e-Shair Mein Bota Hun Main
Tu Bhi Ro Ae Khak-e-Dilli! Dagh Ko Rota Hun Main

Ae Jahan Abad, Ae Sarmaya-e-Bazm-e-Sukhan!
Ho Gya Phir Aaj Pamal-e-Khazan Tera Chaman

Woh Gul-e-Rangeen Tera Rukhsat Misal-e-Bu Huwa
Ah! Khali Dagh Se Kashana-e-Urdu Huwa

Thi Na Shaid Kuch Kashish Aesi Watan Ki Khak Mein
Woh Mah-e-Kamil Huwa Pinhan Dakkan Ki Khak Mein

Uth Gye Saqi Jo The, Mai-Khana Khali Reh Gya
Yadgar-e-Bazm-e-Dehli Aik Hali Reh Gya

Arzoo Ko Khoon Rulati Hai Baidad-e-Ajal
Maarta Hai Teer Tareeki Mein Sayyad-e-Ajal

Khul Nahin Sakti Shakayat Ke Liye Lekin Zuban
Hai Khazan Ka Rang Bhi Wajah-e-Qayam-e-Gulistan

Aik Hi Qanoon-e-Alamgeer Ke Hain Sub Asar
Bu-e-Gul Ka Bagh Se, Gulcheen Ka Dunya Se Safar

No comments:

Post a Comment