Ae Dard-e-Ishq! Hai
Guhr-e-Abdar Tu
Na-Mehramon Mein Dekh
Na Ho Ashkara Tu!
Pinhan Teh-e-Niqab
Teri Jalwagah Hai
Zahir Parast
Mehfil-e-Nau Ki Nigah Hai
Ayi Nayi Hawa
Chaman-e-Hast-o-Bood Mein
Ae Dard-e-Ishq! Ab
Nahin Lazzat Namood Mein
Haan, Khud Numaeeyon
Ki Tujhe Justujoo Na Ho
Minnat Pazeer
Nala-e-Bulbul Ka Tu Na Ho!
Khali Sharab-e-Ishq
Se Lale Ka Jam Ho
Pani Ki Boond
Girya-e-Shabnam Ka Naam Ho
Pinhan Duroon-e-Sina
Kahin Raaz Ho Tera
Ashak-e-Jigar Gudaz
Na Ghammaz Ho Tera
Goya Zuban-e-Shayar-e-Rangeen
Byan Na Ho
Awaz-e-Ne Mein
Shikwa-e-Fursat Nihan Na Ho
Ye Dour Nukta Cheen
Hai, Kahin Chup Ke Baith Reh
Jis Dil Mein Tu
Makeen Hai, Wahin Chup Ke Bath Reh
Ghafil Hai Tujh Se
Hairat-e-Ilm Afrida Dekh!
Joya Nahin Teri
Nigah-e-Na Raseeda Dekh
Rehne De Justujoo
Mein Khiyal-e-Buland Ko
Hairat Mein Chor
Deedah-e-Hikmat Pasand Ko
Jis Ki Bahar Tu Ho Ye
Aesa Chaman Nahin
Qabil Teri Namood Ke
Ye Anjuman Nahin
Ye Anjuman Hai
Kushta-e-Nazara-e-Majaz
Maqsad Teri Nigah Ka
Khalwat Saraye Raaz
Har Dil Mai-e-Khiyal
Ki Masti Se Choor Hai
Kuch Aur Aaj Kal Ke
Kaleemon Ka Toor Hai
No comments:
Post a Comment