Dhoond Raha Hai
Farang Aysh-e-Jahan Ka Dawam
Waye Tamana-e-Kham,
Waye Tamana-e-Kham !
Peer-e-Haram Ne Kaha
Sun Ke Meri Ruedad
Pukhta Hai Teri
Faghan, Ab Na Isse Dil Mein Thaam
Tha Arini Go Kaleem,
Main Arini Go Nahin
Uss Ko Taqaza Rawa,
Mujh Pe Taqaza Haraam
Gharche Hai Afsaye
Raaz, Ahl-e-Nazar Ki Fagahan
Ho Nahin Sakta Kabhi
Shewa-e-Rindana Aam
Halqa-e-Sufi Mein
Zikr, Benam-o-Besouz-o-Saaz
Main Bhi Raha Tashna
Kaam, Tub Hi Raha Tashna Kaam
Ishq Teri Intaha,
Ishq Meri Intaha
Tu Bhi Abhi Na-Tamam,
Main Bhi Abhi Na-Tamam
Aah Ke Khoya Gya Tujh
Se Faqeeri Ka Raaz
Warna Hai
Maal-e-Faqeer Saltanat-e-Rome-o-Sham
No comments:
Post a Comment