dil hai ainaa-e-hairat se do-chaar aaj kii raat
Gam-e-dauran main hai aks-e-Gam-e-yaar aaj kii raat
aatish-e-gul ko daaman se havaa detii hai
diidanii hai ravish-e-mauj-e-bahaar aaj kii raat
aaj kii raat kaa mahamaa hai malbuus-e-hariir
is chaman-zaar main ugate hain sharar aaj kii raat
main ne farahad kii aaGosh main shiriain dekhii
main ne paravez ko dekhaa sar-e-daar aaj kii raat
jo chaman sarf-e-Khizaan haain vo bulaate hain mujhe
mujhe fursat nahe ai jaan-e-bahaar aaj kii raat
dar-e-yazadain pe bhii jhukatii nahiain is vaqt jabiain
mujh se ankhain na lara aaj kii raat
mashaal-e-sher kaa laayaa hun charhavaa "Abid"
jagamagaatain haain shahiidon ke mazaar aaj kii raat
No comments:
Post a Comment