Thursday, 7 August 2014

Dil

Qissa-e-Dar-o-Rasan Bazi-e-Tiflana-e-Dil
Iltijaye ‘Arini’ Surkhi-e-Afsana Dil

Ya Rab Iss Saghir-e-Labraiz Ki Mai Kya Ho Gi
Jadah-e-Mulk-e-Baqa Hai Khat-e-Pemane-e-Dil

Abar-e-Rehmat Tha Ke Thi Ishq Ki Bijli Ta Rab!
Jal Gyi Mazraa-e-Hasti To Uga Dana-e-Dil

Husn Ka Janj-e-Giran Maya Tujhe Mil Jata
Tu Ne Farhad! Na Khoda Kabhi Weera-e-Dil

Arsh Ka Hai Kabhi Kaabe Ka Hai Dhoka Iss Par
Kis Ki Manzil Hai Elahi! Mera Kashana-e-Dil

Iss Ka Apna Hai Junoon Aur Mujhe Souda Apna
Dil Kisi Aur Ka Diwana, Mein Diwana-e-Dil

Tu Samajta  Nahin Ae Zahid-e-Nadan Iss Ko
Rashk-e-Sad Sajda Hai Ek Laghzish-e-Mastana-e-Dil

Khak Ke Dhair Ko Ikseer Bana Deti Hai
Woh Asar Rakhti Hai Khakstar-e-Parwana-e-Dil

Ishq Ke Daam Mein Phans Kar Ye Riha Hota Hai
Barq Girti Hai To Ye Nakhl Hara Hota Hai

No comments:

Post a Comment