gam se kahin najat mile chain payen ham
dil khun main nahae to ganga nahayen ham
jannat main jayen ham k jahannum main jayen ham
mil jae tu kahin na kahin tujh ko payen ham
mumkin hai ye k vade pe apne vo a bhi jae
mushkil ye hai k ap main us vaqt ayen ham
naraz ho Khuda to karen bandagi se khush
mashuq ruth jae to kyon kar manayen ham
sar doston k kat kar rakhe hain samane
gairon se puchte hain qasam kis ki khayen ham
saunpa tumhen Khuda ko chale ham to namurad
kuch parh k bakhshna jo kabhi yad ayen ham
ye jan tum na loge agar ap jayegi
is bevafa ki khair kahan tak manayen ham
ham-saye jagate rahe nalon se rat bhar
soye huye nasib ko kyon kar jagayen ham
tu bhulane ki chiz nahin khub yad rakh
ai "Dag" kis tarah tujhe dil se bhulayen ham
No comments:
Post a Comment