ja kahyio un se nasim-e-sahar mera chain gaya meri nind gai
tumhen meri na mujh ko tumhari khabar mera chain gaya meri nind gai
na haram mein tumhare yar pata na surag dair mein hai milta
kahan ja k dekhun main jaun kidhar mera chain gaya meri nind gai
ai badshah-e-khuban-e-jahan teri mohni surat pe qurban
k main ne jo teri jabin pe nazar mera chain gaya meri nind gai
hui bad-e-bhari chaman mein ayan gul buti mein baqi rahi na fiza
meri shakh-e-ummid na lai sanwar mera chain gaya meri nind gai
ai barq-e-tajalli bahar-e-Khuda na jala mujhe hijr mein shamma sa
meri zist hai misl-e-chirag-e-sahar mera chain gaya meri nind gai
kehta hai yahi ro ro k "Zafar" meri ah-e-rasa ka hua na asar
teri hijr mein maut na ai abhi mera chain gaya meri nind gai
yahi khana tha shero k aj "Zafar" meri ah-e-rasa mein hua na asar
tere hijr mein maut na ai magar mera chain gaya meri nind gai
No comments:
Post a Comment