Saturday 9 August 2014

Jo Utar Ke Zina-E-Sham Se

jo utar ke zina-e-sham se teri chashm-e-Khush main sama gaye
vahi jalte bujhte se mahar-o-mah mere bam-o-dar ko saja gaye

ye ajib khel hai ishq ka main ne ap dekha ye mojeza
vo jo lafz mere guman main the vo teri zuban par a gaye

vo jo git tum ne suna nahi meri umr bhar ka riyaz tha
mere dard ki thi dastan jise tum hansi main ura gaye

vo charag-e-jan kabhi jis ki lau na kisi hava se nigun hui
teri bevafai ke vasava use chupke chupke bujha gaye

vo tha chand sham-e-visal ka k tha rup tere jamal ka
meri ruh se meri ankh tak kisi raushani main naha gaye

ye jo bandagan-e-niyaz hai ye tamam hai vo lashkari
jinhen zindagi ne aman na di to tere huzur main a gaye

teri beruKhi k dayar main main hava ke sath hava hua
tere aine ki talash main mere Khvab chehara ganva gaye

tere vasvaon k fishar main tera sharar-e-rang ujar gaya
meri khvahishon k gubar main mere mah-o-sal-e-vafa gaye

vo ajib phul se lafz the tere honth jin se mahak uthe
mere dasht-e-khvab main dur tak koi bagh jaise laga gaye


meri umr se na simat sake mere dil main itne saval the
tere pas jitne javab the teri ik nigah main a gaye

No comments:

Post a Comment