Saturday 9 August 2014

Kabhi kitabon mein phul rakhna

kabhi kitabon mein phul rakhna
kabhi darakhton pe nam likhna

hamein bhi hai yad aj tak wo
nazar se harf-e-salam likhna

wo chand chehre wo behki baten
sulagte din the mehakti raten

wo chote-chote se kagzon par
muhabbaton k payam likhna

gulab chehron se dil lagana
wo chupke chupke nazar milana

wo arzuon k khwab bunna
wo qissa-e-natamam likhna

mere nagar ki hasin fizao
kahin jo un k nishan pao

to puchna ye kahan base ho
kahan hain un ka qayam likhna

gai ruton mein "Hassan" hamara
bas ek hi to ye mashgala tha

kisi k chehre ko subah kahna
kisi ki zulfon ko sham likhna

No comments:

Post a Comment