Saturday 9 August 2014

Khatir Se Ya Lihaz Se Main

khatir se ya lihaz se main man to gaya
jhuthi qasam se ap ka iman to gaya

dil le k muft kahte hain kuch kam ka nahin
ulti shikayaten rahi ehsan to gaya

ab shay-e-raz-e-ishq go zillaten hui
lekin use jata to diya, jan to gaya

dekha hai butkade main jo ai shekh kuch na kuch
iman ki to ye hai k iman to gaya

Darta hun dekh kar dil-e-be-arazu ko main
sun-san ghar ye kyun na ho mehman to gaya

go namabar se khush na hua par hazar shukr
mujh ko vo mere nam se pahchan to gaya

hosh-o-havas-o-tab-o-tavan "Dag" ja chuk
ab ham bhi jane vale hain saman to gaya

No comments:

Post a Comment