Kho Na Ja Iss
Sehar-o-Sham Mein Ae Sahib-e-Hosh!
Ek Jahan Aur Bhi Hai
Jis Mein Na Farda Hai Na Dosh
Kis Ko Maaloom Hai
Hungama-e-Farda Ka Maqam
Masjid-o-Maktab-o-Maikhana
Hain Muddat Se Khamosh
Main Ne Paya Hai Usse
Ashk-e-Sehargahi Mein
Jis Dur-e-Naab Se
Khali Hai Sadaf Ki Aagosh
Nayi Tehzeeb Takaluf
Ke Sawa Kuch Bhi Nahin
Chehra Roshan Ho To
Kya Hajat-e-Gluguna Farosh!
Sahib-e-Saaz Ko Lazim
Hai Ke Ghafil Na Rahe
Gahe Gahe Galat
Aahang Bhi Hota Hai Sarosh
No comments:
Post a Comment