aj k din na pucho mere dosto
dur kitne hain khushiyan manane k din
khul k hansne k din git gane k din
pyar karne k din dil lagane k din
aj k din na pucho mere dosto
zakhm kitne abhi bakht-e-bismil main hain
dasht kitne abhi rah-e-manzil main hain
tir kitne abhi dast-e-qatil main hain
aj k din zubun hai mere dosto
aj k din to yun hai mere dosto
jaise dard-o-alam k purane nishan
sab chale su-e-dil karwan karwan
hath sine pe rakho to har ustakhwan
se uthe nala-e-al'aman al'aman
aj k din na pucho mere dosto
kab tumhare lahu k darida alam
farq-e-khurshid-e-mahshar pe honge raqam
az karan ta karan kab tumhare qadam
le k uthega wo bahar-e-khun yam-ba-yam
jis dil main dhul jayega aj k din ka gam
sare dard-o-alam sare jaur-e-sitam
dur kitani hai khurshid-e-mahshar ki lau
aj k din na pucho mere dosto
No comments:
Post a Comment