Wednesday 20 August 2014

Koi bhi aadmi pura nahin hai,

Koi bhi aadmi pura nahin hai,
Kahin ankhain kahin chehra nahin hai,
Yahan se kyon koi begana guzre,
Yeh mere khawb hain rasta nahin hai,
Jahan par they teri palkon ke saye,
Wahan ab koi saaya nahin hai,
Zamana dekhta hai har tamasha,
Yeh larka khel se thakta nahin hai,
Hazaron sheher hain hamraah us ke,
Musafir sheher mein tanhaa nahin hai,
Yeh kese khawb se jaagi hain ankhain,
Kisi manzar pe dil jamta nahi hai,
Jo dekho to har ik jaanib samandar,
Magar peeney ko ik qatra nahin hai,
Khudaa ki hai yehi pehchaan shayed,
Ke koi aur us jesa nahin hai..

No comments:

Post a Comment