lab-e Khamosh se afsha hoga
raz har rang main ruswa hoga
dil ke sahra main chali sard hawa
abr gulzar pe barsa hoga
tum nahi the to sar-e-bam-e-Khayal
yad ka koi sitara hoga
kis tawaqqo pe kisi ko dekhain
koi tum se bhi haseen kya hoga
zinat-e-halqa-e-agosh bano
dur baithoge to charcha hoga
zulmat-e-shab main bhi sharmate ho
dard chamkega to phir kya hoga
jis bhi fankar ka shahkar ho tum
us ne sadiyon tumhain socha hoga
kis qadar karb se chatkhe hai kali
shakh se gul koi tuta hoga
umr bhar roye faqat is dhun main
rat biti to ujala hoga
sari duniya hamain pahachanati hai
koi ham-sa bhi na tanha hoga
No comments:
Post a Comment