Wednesday 20 August 2014

Mujhe khud se hain shikaytain, Mujhe zindagi se gilaa nahin

Mujhe khud se hain shikaytain,
Mujhe zindagi se gilaa nahin,

Ke jo chaha mene woh paa liya,

Nahin aesa kuch jo mila nahin,
Mere aas paas hai roshni,
Mere raaston mein chirag hain,

Yeh tere karam ka hai mojzaa,

Meri justuju ka silaa nahin,
Teri aankh se jo haseen ho,
Woh nigaah jag main bani nahin,

Tere rukh ko jis se misaal doon,

Koi aesa phool khilaa nahin,
Yeh jo teri zulf ka hai haashia,
Yeh jo tera chehra hai khush’numa,

Koi raat aesi siyaah nahin,

Kisi subaah mein yeh jala nahin,
Yeh jo mehr-o-maa ki hain haaltain!
Yeh jo aayino ki hain hairtain,

Hain azzal se sab yeh isi tarah,

Koi apni jagha se hillaa nahin..

No comments:

Post a Comment