Saturday 9 August 2014

Nazar Fareb-E-Kaza Kha Gai

nazar fareb-e-kaza kha gai to kya hoga
hayat maut se takara gai to kya hoga

nai sahar ke bahut log muntazir hain magar
na-i sahar bhi kajla gai to kya hoga

na rahnumaon ki majalis main le chalo mujho
main be-adab hun hansi a gai to kya hoga

gam-e-hayat se beshaq hai khudkushi asan
magar jo maut bhi sharma gai to kya hoga

shabab-e-lala-o-gul ko pukaranevalo
khizan-sirisht bahar a gai to kya hoga

ye fikr kar k is asudagi k dhoke main
teri khudi ko bhi maut a gai to kya hoga

khushi chini hai to gam ka bhi aitamad na kar
jo ruh gam se bhi ukta gai to kya hoga

No comments:

Post a Comment