Saturday 9 August 2014

Nisar Main Teri Galiyon K

nisar main teri galiyon k ae watan, k jahan
chali hai rasm k koi na sar utha k chale

jo koi chahanewala tawaf ko nikle
nazar chura k chale, jism-o-jan bacha k chale


hai ahl-e-dil k liye ab ye nazm-e-bast-o-kushad
k sang-o-khisht muqayyad hain aur sag azad

bahot hain zulm k dast-e-bahana-ju k liye
jo chand ahl-e-junun tere nam leva hain

bane hain ahl-e-hawas muddai bhi, munsif bhi
kise wakil karen, kis se munsifi chahen


magar guzaranewalon k din guzarte hain
tere firaq main yun subh-o-sham karae hain

bujha jo rauzan-e-zindan to dil ye samajha hai
k teri mang sitaron se bhar gai hogi

chamak uthe hain salasil to hamane jana hai
k ab sahar tere rukh par bikhar gai hogi

garaz tasavvur-e-sham-o-sahar main jite hain
giraft-e-saya-e-diwar-o-dar main jite hain

yun hi hamesha ulajhti rahi hai zulm se khalq
na unki rasm nai hai, na apani rit nai

yun hi hamesha khilaye hain hamne ag main phul
na unki har nai hai na apani jit nai

isi sabab se falak ka gila nahin karte
tere firaq main ham dil bura nahin karte

gar aj tujhse juda hain to kal baham honge
ye rat bhar ki judai to koi bat nahin

gar aj auj pe hai tala-e-raqib to kya
ye char din ki khudai to koi bat nahin

jo tujhase ahd-e-wafa ustavar rakhte hain
ilaj-e-gardish-e-lail-o-nihar rakhte hain

No comments:

Post a Comment