Sunday, 31 August 2014

To tum ney teh ker liya hai janan

To tum ney teh ker liya hai jana’n!
Key ab munasib ye hi hai key manzil ki khawahish ko


Mita hi dal’ein
Zamaney ki bhi ye hi khushi hai


Isi rawish mein zindagi hai
Suno! zamaney ko dosh denay ki rasam farsoda ho chuki hai


Tum apney dil sey bhi kalam ker key poch lena
Key is ki adarsh kiya hai’en?


Abhi zamaney ney tum sey manzil ki aas cheni
To kal ye tum sey kahey ga rasta hi chor do tum


Kahey ga chehray sey apni ankh’on ko nochlo tum
Kahey ga pathar key bot mein dharkan talash ker do


To kiya karo gey??
Chalo ye na kahey to itna hi tum sey keh dey


Key sans lena fazol hai ab
Key tum is rayazat ko bhol jao


Tum apni sans’on ko qatal kesay karo gey bolo?
Suno! zamaney ko dosh denay ki rasam farsoda ho chuki hai


tum asal mein wo sipahi ho, ain larney key waqt jis ko
khayal aye


key jang karney key sab tarekay hein yad us ko
wo sarey hathiyar ley ker aya hai sath apney


magar wo jaldi mein hosla ghar bhol aya
khayal rakhna’


asas jewan ki manzil’on sey lagan hai jana’n!
jo tum ney is ko ganwa diya to geo gey kesay?

No comments:

Post a Comment