Friday, 29 August 2014

Tum chahat k harf k ander

Mumkin hai. . !
Tum chahat k harf k ander


Laakho’n maani akhaz karo aur khud us ka inkaar bhi kar do
Mumkin hai us lafz ki taqat tum ko be-bas kar de jana’n!


Aur tum dil k tanha, andhay, ghaar mein khud ko paa kar yak dum
Chahat ka iqraar bhi kar do


Lekin kon zamanat de ga?
Tum ne kab asbaat se pehly, naa ki thi


Tum ne kab inkaar se pehlay, haan likhi thi?

No comments:

Post a Comment