tum na aye ek din ka wada kar do din talak
ham pare tarpa kiye do do pahar do din talak
dard-e-dil apna sunta hun kabhi jo ek din
rahta hai us naznin ko dard-e-sar do din talak
dekhte hain khwab mein jis din kisu ki chashm-e-mast
rahte hain ham do jahan se bekhabar do din talak
gar yaqin ho ye hamein ayega tu do din k bad
to jiyen ham aur is ummid par do din talak
kya sabab kya wasta kya kam tha batlaiye
ghar se jo nikle na apne tum "Zafar" do din talak
No comments:
Post a Comment