Yaad Aata Hai Roz-o-Shab Koi
Ham Se Rootha Hai Be-Sabab Koi
Ham Se Rootha Hai Be-Sabab Koi
Lab-e-Jo Chhaon Mein Darakhton Ki
Wo Mulaaqaat Thi Ajab Koi
Wo Mulaaqaat Thi Ajab Koi
Jab Tujhe Pehli Baar Dekha Tha
Wo Bhee Tha Mausam-e-Tarb Koi
Wo Bhee Tha Mausam-e-Tarb Koi
Kuch Khabar Le Kar Teri Mehfil Se
Door Betha Hai Jaan-e-Balab Koi
Door Betha Hai Jaan-e-Balab Koi
Na Gham-e-Zindagi Na Dard-e-Firaaq
Dil Mein Yunhi Si Hai Talab Koi
Dil Mein Yunhi Si Hai Talab Koi
Yaad Aati Hai Door Ki Baatain
Pyaar Se Dekhta Hai Jab Koi
Pyaar Se Dekhta Hai Jab Koi
Chout Khaayi Hai Baar-Haa Laikin
Aaj Tou Dard Hai Ajab Koi
Aaj Tou Dard Hai Ajab Koi
Jin Ko Mitna Tha Mit Chukay Nasir
Un Ko Ruswa Karay Na Ab Koi
Un Ko Ruswa Karay Na Ab Koi
No comments:
Post a Comment