Ye Dair-E-Kuhan Kya
Hai, Anbaar-E-Khas-O-Khashaak
Mushkil Hai Guzar Iss
Mein Be-Nala’ay Atishnaak
Nakhcheer-E-Mohabbat
Ka Qissa Nahin Toolani
Lutf-E-Khalish-E-Paikan,
Asoodgi-E-Fatraak
Khoya Kya Jo 'Matlab
Haftad Wa Do'-O-Millat Mein
Samjhe Ga Na Tu Jab
Taak Be Rang Na Ho Adraak
Ek
Sharaa-E-Musalmani, Ek Jazb-E-Musalmani
Hai Jazb-E-Musalani
Sirr-E-Falak-Ul-Aflaak
Ae Rahro-E-Farzana!
Be Jazb-E-Musalmani
Ne Rah-E-Amal Paida
Ne Shakh-E-Yaqeen Namnaak
Ramzain Hain Mohabat
Ki Gustakhi-O-Bebaki
Har Shauq Nahin
Gustakh, Har Jazb Nahin Bebaak
Farig To Na Baithe Ga
Mehshar Mein Junoon Mera
Ya Apna Grebaan Chaak
Ya Daman-E-Yazdaan Chaak!
No comments:
Post a Comment