Ye
Peeran-e-Kalisa-o-Haram, Ae Waye Majboori!
Sila In Ki
Kid-o-Kawish Ka Hai Seenon Ki Benoori
Yaqeen Paida Kar Ae
Nadan! Yaqeen Se Hath Ati Hai
Woh Darvaishi Ke Jis
Ke Samne Jhukti Hai Fagfoori
Kabhi Hairat, Kabhi
Masti, Kabhi Aah-e-Sahargahi
Badalta Hai Hazaron
Rang Mera Dard-e-Mehjoori
Had-e-Adraak Se Bahir
Hain Batain Ishq-o-Masti Ki
Samajh Mein Iss Qadar
Aya Ke Dil Ki Mout Hai Doori
Woh Apne Husn Ki
Masti Se Majboor-e-Paidai
Meri Ankhon Ki Bainai
Mein Hain Asbaab-e-Mastoori
Koi Taqdeer Ki Mantaq
Samajh Sakta Nahin Warna
Na The
Turkaan-e-Usmani Se Kam Turkaan-e-Taimoori
Faqeeran-e-Haram Ke
Hath Iqbal Aa Gya Kyunkar
Maiyasar Mir-e-Sultan
Ko Nahin Shaheen-e-Kafoori
No comments:
Post a Comment