Saturday, 9 August 2014

Zamana

Jo Tha Nahin Hai, Jo Hai Na Ho Ga, Yehi Hai Ek Harf-e-Mehrmana
Qareeb Tar Hai Namood Jis Ki Ussi Ka Mushtaq Hai Zamana

Meri Soorahi Se Qatra Qatra Naye Hawadis Tapak Rahe Hain
Main Apni Tasbeeh-e-Roz-o-Shab Ka Shumar Karta Hon Dana Dana

Har Aik Se Ashna Hun, Lekin Juda Juda Rasme-o-Rah Meri
Kisi Ka Raakab, Kisi Ka Markab, Kisi Ko  Ibrat Ka Taziyana

Na Tha Agar Tu Shareek-e-Mehfil, Qasoor Mera Hai Ya Ke Tera
Mera Tareeka Nahin Ke Rakh Loon Kisi Ki Khatar Mai’ay Shabana

Mere Kham-o-Paich Ko Najoomi Ki Ankh Pehchanti Nahin Hai
Hadaf Se Baigana Teer Uss Ka, Nazar Nahin Jis Ki Arfana

Shafaq Nahin Maghrabi Ufaq Par, Ye Jooye Khoon Hai, Ye Jooye Khoon  Hai!
Tulu-e-Farda Ka Muntazir Reh Ke Dosh-o-Amroz Hai Fasana

Woh Fikar-e-Ghustakh Ji Ne Uryaan Kiya Hai Fitrat Ki Taqaton Ko
Ussi Ki Betab Bijliyon Se Khatr Mein Hai Uss Ka Ashiyana

Hawaen Un Ki, Fazaen Un Ki, Sumundar Un Ke, Jahaz Un Ke
Girah Bhanwar Ki Khule To Kyunkar, Bhanwar Hai Taqeer Ka Bahana

Jahan-e-Nau Ho Raha Hai Paida, Woh Alam-e-Peer Mar Raha Hai
Jise Farangi Muqamiron Ne Bana Diya Hai Qimar Khana

Hawa Hai Go Tund-o-Taiz Lekin Charagh Apna Jala Raha Hai
Woh Mard-e-Darvesh Jis Ko Haq Ne Diye Hain Andaz-e-Khusarwana

No comments:

Post a Comment