Zameer-e-Lala Mai’ay
La’al Se Huwa Labraiz
Ishara Pate Hi Sufi
Ne Tor Di Parhaiz
Bichayi Hai Jo Kahin
Ishq Ne Bisat Apni
Kiya Hai Iss Ne
Faqeeron Ko Waris-e-Parvaiz
Purane Hain Ye
Sitare, Falak Bhi Farsudah
Jahan Woh Chahiye
Mujh Ko Ke Ho Abi Naukhaiz
Kise Khabar Hai Ke
Hangama’ay Nishor Hai Kya
Teri Nigah Ki Gardish
Hai Meri Rasta Khaiz
Na Cheen
Lazzat-e-Aah-e-Sahar-Gehi Mujh Se
Na Kar Nigah Se
Tughafil Ko Iltifat Amaiz
Dil-e-Ghameen Ke
Muwafiq Bahin Hai Mousam-e-Gul
Sada’ay
Murgh-e-Chaman Hai Bohat Nishaat Angaiz
Hadees-e-Bekhabran
Hai, Tu Ba-Zamana Ba-Saaz
Zamana Ba Toon-Saazd,
Tu Ba Zamana Sataiz
No comments:
Post a Comment