Saturday 9 August 2014

Zhud Aur Rindi

Ek Molvi Sahib Ki Sunata Hun Kahani
Taizi Nahin Manzoor Tabiat Ki Dikhani

Shohra Tha Bohat App Ki Sufi  Manashi Ka
Karte The Adab Un Ka Aa’aali-o-Adani

Kehte The Ke Pinhan Hai Tasawwuf Mein Shariat
Jis Tarah Ke Alfaz Mein Muzmar Hon Maani

Labraiz Mai-e-Zuhd Se Thi Dil Ki Surahi
Thi Teh Mein Kahin Dard-e-Khiyal-e-Hama-Dani

Karte The Byan Aap Karamat Ka Apni
Manzoor Thi Taadad Mureedon Ki Barhani

Muddat Se Raha Karte The Humsaye Mein Mere
Thi Rind Se Zahid Ki Mulaqat Purani

Hazrat Ne Mere Aik Shanasa Se Ye Pucha
Iqbal Ke Hai Qumri-e-Shamshad-e-Maani

Pabandi-e-Ahkam-e-Shariat Mein Hai Kaisa?
Go Shair Mein Hai Rashak-e-Kaleem-e-Hamdani

Sunta Hun Ke Kafir Nahin Hindu Ko Samajhta
Hai Aesa Aqeeda Asar-e-Falsafa Dani

Hai Iss Ki Tabiyat Mein Tashayyu Bhi Zara Sa
Tafzeel-e-Ali (R.A.) Hum Ne Suni Iss Ki Zubani

Samajha Hai Ke Hai Raag Ibadaat Mein Dakhil
Maqsood Hai Mazhab Ki Magar Khak Urani

Kuch Aar Isse Husn Faroshon Se Nahin Hai
Adat Ye Humare Shuara Ki Hai Purani

Gana Jo Hai Shab Ko To Sehar Ko Hai Talawat
Iss Ramz Ke Ab Tak Na Khule Hum Pe Maani

Lekin Ye Suna Apne Mureedon Se Hai Main Ne
Be-Dagh Hai Manind-e-Sehar Iss Ki Jawani

Majmooa-e-Azdaad Hai, Iqbal Nahin Hai
Dil Daftar-e-Hikmat Hai, Tabiat Khuftani

Rindi Se Bhi Aagah, Shariat Se Bhi Waqif
Pucho Jo Tasawwuf Ki To Mansoor Ka Sani

Iss Shakhs Ki Hum Par To Haqiqat Nahin Khulti
Ho Ga Ye Kisi Aur Hi Islam Ka Bani

Al-Qissa  Bohat Toul Diya Waaz Kp Apne
Ta Dair Rahi App Ki Ye Nagz Byani

Iss Shehar Men Jo Baat Ho, Urh Jati Hai Sub Mein
Main Ne Suni Apne Ahibba Ki Zubani

Ek Din Jo Sar-e-Rah Mile Hazrat-e-Zahir
Phir Chhir Gyi Baton Mein Wohi Baat Purani

Farmaya, Shikayat Woh Mohabbat Ke Sabab Thi
Tha Farz Mera Rah Shariat Ki Dikhani

Main Ne Ye Kaha Koi Gila Mujh Ko Nahin Hai
Ye App Ka Haq Tha Zarah-e-Qurb-e-Makani

Kham Hai Sar-e-Tasleem Mera App Ke Agay
Peeri Hai Tawazaa Ke Sabab Meri Jawani

Gar App Ko Maloom Nahin Meri Haqiqat
Paida Nahin Kuch Iss Se Qasoor-e-Hamadani

Main Khud Bhi Nahin Apni Haqiqat Ka Shanasa
Gehra Hai Mere Behr-e-Khiyalaat Ka Pani

Mujh Ko Bhi Tammana Hai Ke ‘Iqbal’ Ko Dekhun
Ki Iss Ki Juddai Mein Bohat Ashak Fishani

Iqbal Bhi ‘Iqbal’ Se Agah Nahin Hai
Kuch Iss Mein Tamaskhar Nahin Wallah Nahin Hai

No comments:

Post a Comment