Thursday, 4 September 2014

aawaara hai galiyon meiN main aur meri tanhayee

aawaara hai galiyon meiN main aur meri tanhayee
jaayeN to kahan jaayeN har moD pe ruswaayee
maiN aur meri tanhaayee maiN aur meri tanhaayee
ye phool se chehre haiN haNste huye guldaste
koi bhee nahin apna begaane hain sab raste
raahen bhee tamashyee raahen bhee tamashaee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee
armaan sulagte haiN seene meiN chitha jaise
qaatil nazar aati hai duniya ke hawa jaise
roti hai mere dil par bajti huyee shehnayee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee
aakaash ke maathe par taaroN ka charagam hai
pehloo meiN magar mere zakhmoN ka gulistaan hai
aankhOn se lahoo tapka daaman meiN bahaar aayee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

No comments:

Post a Comment