Wednesday, 3 September 2014

ab ki baar mosam meiN sakhtiyaN buhat hoNgi

ab ki baar mosam meiN sakhtiyaN buhat hoNgi
din ki roshni meiN bhi teyrgi bohat hogi


qehqahoN k peechay bhi dard cheekhtay hoNge..

meray dil k aalam ko..

aur meray har ghum ko..

koi poochnay wala.. haaN.. magar nahi hoga..!

Hijr ki aziyat meiN ashk tou bahanay haiN

teri sard-mehri ne yeu bhi din dikhanay haiN

rut bahaar ki hogi

aur dil pe pat-jhaR ka saniha bapa hoga

koi mil raha hoga..aur koi jda hoga

ye jo haadsa hoga..iss se baRh k kya hoga?

apni khushk aankhoN meiN dard k sailaboN ko

sabr sey chhupana hai..

aur teri judaai ke zakhm bhi chhupanay haiN
teri sard-mehri ne ye bhi din dikhanay haiN..

No comments:

Post a Comment