Janib e Marg Akailay Hii Rawaan hOna hAi
Aik Din Apney Na hOnay Ka NiShan hOna hAi
Ab Milay hAin tO BiCharna Bhi Yaqeenii Jano
Aisa hOna hAi Kisi Din Meri jAan hOna hAi
Jis Ko Dar-Paish jUdaii hO Usay Kya MalOom
kOn Sii Baat kO Kis Trah Byaan hOna hAi
Yeh mUsafat K Na KhUsbOo hAi Na Rangat Na Bhaar
Qafila Gull Ka Isii Simat Rawaan hOna hAi
Chand Bikhratii hAin Jin ShOkh ChiraghOn Kii lOien
Un ChiraghOn Ko Bhi Ta-Subah dhUwaan hOna hAi
Khaak hOna hAi Har Ik Zar Ko Zar e gUll Kii Trah
Har Khazanay Ko Pas e Khaak Nehaan hOna hAi
dArd Mitnay Ka Nahien dArd hAi Takmeel e Hyaat
Ishq ChUpnay Ka Nahien Ishq Ayaan hOna hAi
No comments:
Post a Comment